Topics
Sawal : meri walida ki tabiyat
aksar kharab rehti hai agar koi aik marz ho to arz karoon. Aik takleef khatam
hoti hai doosri shuru ho jati hai. Gharz ke kisi nah kisi marz mein mubtala
rehti hain. Is ke sath sath woh zehni mariza bhi hain. Aksar dimaghi doray
parte rehtay hain. Jab dimaghi dora parta hai to har aik ko bura bhala kehna
shuru kar deti hon. Tamam barray barray doctoron se ilaaj kara liya hai lekin
earzi tor par faida hua hai. Ilaaj ke baad phir wohi kefiyat ho jati hai. Koi aisa
wazifa bta den ke walida ki tabiyat hamesha ke liye theek ho jaye.
Jawab : surah الکوثر ( poori surah ) parh kar subah, shaam, raat pani par dam kar ke
pilain. Khaano mein namak kam se kam kar den.