Topics
Sawal : mein taalib ilm hon,
parhnay mein bilkul dil nahi lagta. Jaisay hi kitaab kholta hon sir chakranay
lagta hai. College mein lecture suntay waqt dimagh sun ho jata hai. Agarchay taleemi
kaam dilchaspi aur zouq o shoq se karta hon lekin muntashir khayaali aur
dimaghi boojh ki wajah se Ahsen tareeqa se injaam nahi day paata. Mukhtalif ilaaj
karaye lekin faida nahi hua.
Jawab : sab kamon se farigh ho
kar jab aap sonay ke liye bistar par laiteyn to chit late kar ankhen band kar
len aur samnay nazar jama ke khud ko dekhnay ki koshish karen aur aap ka chehra
samnay aa jaye to bohat acha hai warna apna poora naam le kar yeh jumlay teen
baar dohrayen. '' ae...... ( poora naam ) parhnay likhnay mein tumhara dil
lagta hai. Nihayat tavajja aur zouq o shoq se parhte ho aur jo kuch parhte ho
usay samajte ho ya daal rakhtay ho.' ' yeh jumlay dohranay ke baad guftagu kiye
baghair so jayen. 21 roz ke andar aap ki mojooda uljan bilkul khatam ho jaye
gi. Khanay mein garam jalebi aur is ka sheerah faida mand hai. Jalebi aur is ke
sath thora sa sheerah zaroor istemaal Karen.