Topics
Sawal : mere tamam chhootey bhai
behan raat ko jab sotay hain to sonay ke do ghanta ke baad bistar par pishaab
kar dete hain. Taajjub ki baat yeh hai ke woh sonay se pehlay pishaab kar ke
sotay hain phir bhi bistar par pishaab kar dete hain. Itni gehri neend sotay
hain ke agar inhen pishaab karne ke liye uthaya bhi jaye to woh uth nahi satke.
Pishaab ki miqdaar kabhi kam, kabhi ziyada hoti hai. Mere walidain ne har qisam
ka doctori, hakeemi aur homyo pithi ka ilaaj karwaya magar faida nahi hua.
Jawab : aap ke bhai aur behan
raat ko jab gehri neend so jayen un ke qareeb sarahnay ki taraf kharray ho kar
aik martaba surah baqra ki aayat alum se yuminoon bil ghaib taq parh kar suna
diya karen. Itni aawaz se ke neend kharab nah ho. Yeh amal 21 roz taq kar
lijiye. Insha Allah faida ho ga.