Topics

Zabaan Khul Jaye Gi

Sawal   : is saal eid ul fittar ke panchwin ya chhatay roz mere waalid sahib par faalij ka hamla hua jis se baen taraf ka sir se le kar paon taq ka sara jism nakara ho gaya lekin har waqt ilaaj karanay par aahista aahista taang aur dhar bhi theek ho gaya lekin baazu bilkul nakara ho gaya is douran hum ne har jagah se aur har terhan ka ilaaj karaya. Baazu waisay to nakara tha lekin har waqt bohat dard rehta shayad baazu bhi aahista aahista theek ho jata lekin do hafta pehlay faalij ka aik aur hamla sun-hwa. Jis se chehra baen taraf se phir terha ho gaya aur zabaan bhi bilkul band ho gayi. Mun hi mun mein kuch kehte hain aur hamein samajh nahi aata ke waalid sahib kya kehna chaah rahay hain. Baazu to pehlay hi nakara tha ab taang bhi taqreeban nakara ho gayi hai.

Faalij se pehlay inhen sugar aur high blood pressure ki bemariyan theen. Faalij ke baad sugar tu bilkul khatam ho gayi hai lekin blood pressure ki bemari abhi hai. Guzarish hai ke aap mere waalid sahib ke liye jald az jald kuch karen aur kisi bohat qareeb ke jummay ki ashaat mein mere khat ka Jawab  day den. Mere waalid sahib ke liye mehfhil muraqba mein dua bhi kara den. Pani taq nahi pi satke. Kabhi kabhar barri mushkil se aik do ghoont peetay hain khana nahi kha satke, kabhi kabhar barri mushkil se aik aadh niwala kha letay hain. Dwayyan aur golian bhi nahi kha satke jab khayen ge nahi to kaisay aaraam aeye ga. Bilkul hadion ka dhancha ban gay hain. Hum se yeh sab dekha nahi jata, plzzzz aap un ke liye jald az jald kuch karen.


Jawab  : saaf shafaaf safaid pakkay sheeshay ki barni mein safaid Lahori namak ke chhootey chhootey tukre kar ke dalain. Safaid chamak daar kaghaz par

بسم اللّٰہ الرحمٰن الرحیم الرٰتلک اٰیات الکتاب المبینoالرحیم الرحیم الرحیم

likh kar barni mein daal kar mazboot dhakkan laga den. Yeh barni lakri ke stool par aisi jagah rakh den jahan waalid sahib ki nazar baar baar padtee rahay. Waalid sahib se kahin ke woh barni ke andar namak ko baar baar dekhen. Insha Allah zabaan khil jaye gi.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI