Topics
Sawal : Mein aik shadi shuda
shakhs hon aur kkhuda ka shukar hai aaj taq mujhe koi gham ya fikar la-haq nahi
hui. Is ke bawajood har waqt udaas aur be chain rehta hon. Vahm aur waswason ki
yalghaar rehti hai. Be maqsad khayalat aur tasawurat mein dooba rehta hon. Dar aur
khauf ke saaye zehan par mandlatay rehtay hain. Is zehni haalat ki wajah se
sahet par itna bura assar para hai ke hadion ka dhancha ban gaya hon. Aap koi
aisa tareeqa Talqeen farma den jis se mein is gehri daldal se bahar nikal aon.
Jawab : Bilkul tanhai mein aik
safaid kaghaz lijiye aur is kaghaz ke aik suray se dosray suray taq poooray
kaghaz par zarb ka nishaan ( x ) banatay chalay jayen. Yahan taq ke kaghaz
khatam ho jaye phir is kaghaz ko jala dijiye. Yeh aap ki shikayaat ka mukammal
ilaaj hai. 41 din amal karen.