Topics
Sawal : mein pichlle aik saal se pait ki bemari aur
yarqaan ka shuka rahon. Sath mein purani paichis bhi hai. Ab haalat yeh hai ke
kabhi kabhi pait mein bhaari pan aur jalan hoti hai. Asaab mein tanao, sir mein
shadeed dard aur dimagh bhaari ho jata hai. Poooray badan aur haath paon mein
soyyan chubhti hui mehsoos hoti hain. Marz ki shiddat hoti hai to fiza dhundli
dikhayi deti hai. Har qisam ka ilaaj kara chuka hon aur ab bhi ilaaj jari hai
lekin mustaqil faida nahi hua hai. Ajeeb baat yeh hai ke dekhnay mein tandrost
nazar aata hon. Lekin un amraaz ne pareshan kar rakha hai koi amal tajweez
frmayye jo mein ilaaj ke sath sath jari rakhon.
Jawab : raat ko 11 martaba surah
ikhlaas parh kar haath ke angothon par dam kijiyej aur aankhon par aik martaba
phair lijiye. Seedha anghutha seedhi aankhh par aur ultay haath ka anghutha
ulti aankhh par. Yeh amal sotay waqt chalees din taq kijiyej Insha Allah aap ki
tehreer kardah shikaytein bohat jald rafa ho jayen gi.