Topics
Sawal : eid ke dosray din mein
ghar ki safai kar raha tha ke achanak dil mein halka sa dard utha. Mein samgha
mamooli baat hai thoray din ke baad phir dard utha to mein ne doctoron se ilaaj
karwaya aur dard band ho gaya. Magar kuch din ke baad phir dard honay laga to
dosray dr ko dekhaya. Is ne kaha ke pathay charh gay hain magar jab faida nahi hua
to teesray dr ko dekhaya aur dard theek ho gaya. Magar kuch din ke baad itna
shadeed dard utha ke lagta tha ke koi cheez dil mein se oopar se neechay ki
taraf takra rahi hai. Aur dil aag ki terhan garam ho gaya hai. Barah meharbani
koi Rohani ilaaj bitayen. Mein aap ka bohat shukar guzaar hon ga. Yaqeen janye
mein jitna pareshan hon kabhi zindagi mein itna pareshan nahi hua.
Jawab : jab bhi pani, chaye,
doodh ya sharbat pyin teen baar “ماء ریاحین ” parh
kar dam kar ke pyin. Zurori hai ke heart aspishlst se e si jee kara len aur is
ke mashwaray par poora amal karen.