Topics
Sawal : meri Umar solah saal hai
aur mere sir ke baal khushk ho kar girnay shuru ho gay hain. Haath lagao to
toot jatay hain. Tail bhi kaafi lagaya lekin koi assar nahi sun-hwa. Baraye meharbani
koi aisa wazifa ya azmooda nuskha bitayen jis se mere sir ke baal dobarah
mulaem aur mazboot ho jayen.
Jawab : saaf shafaaf safaid rang
ke pakkay sheeshay ki aik barri bottle le kar is ke oopar neelay rang ka transparent
kaghaz is terhan chipka den ke bottle oopar neechay aur atraaf se kaghaz ke
andar aa jaye. Ab to is bottle mein aik chothai oopri hissa khaali chore kar
khalis tilon ka tail bhar den. Aur bottle mein gayarah Adad zard rang Chanbeli
ke phool daal den. Mazboot kaark laga kar dhoop mein aisi jagah rakh den jahan
sara din dhoop rehti ho. Shaam ke waqt bottle utha kar kamrah mein lakri ke
stool par ya lakri ki kursi par rakh den. Subah phir dhoop mein rakhen. Yahi mamool
chalees roz taq barqarar rakhen. Chalees din poooray honay ke baad raat ko
sotay waqt is tail ko sir mein khoob achi terhan jazb karen. Baal ghany aur
chamak daar ho jayen ge aur tootna bhi band ho jayen ge.