Topics
Sawal : mera masla bzahir aam sa
maloom hota hai magar mere liye aik bara hi paicheeda masla hai. Kahin aana
jana to drknar ghar mein bhi logon se baat karte hue sharam aati hai aur sara
din sir par chadar lapete rehti hon taa ke mera chehra chadar se dhakka rahay. Is
ki wajah yeh hai ke das saal se mere chehray par mahasay nikaltay hain. Mein ne
hakeemi, doctori, homyo pithk sab ilaaj karliya hai. Mere chehray par bareek
bareek sorakh ho gay hain. Jo kaafi badnuma lagtay hain. Jab yeh danay nikaltay
hain to shuru mein surkh dhabba namodaar hota hai jo do chaar din mein danay ki
shakal ikhtiyar kar laita hai. Jis ka koi mun nahi hota. Is ko dabanay se
mawaad aur khoon nikalta hai jo baad mein apna nishaan chore jata hai jis mein
shadeed takleef hoti hai. Aakhir yeh konsi bemari hai ke ilaaj se faida nahi
hota.
Jawab : chehray par se danay khatam
nah honay ki wajah yeh maloom hoti hai ke aap daano ko phore deti hain aur is
terhan chehray par daagh aur sorakh ban jatay hain. Ab taq jo daagh dhabbay par
chuke hain. Is ka ilaaj koi nahi hai Albata aindah agar aap daano ko unglio se
daba kar phorna chore den to chehray par mazeed daagh nahi parrin ge. Raat ko
saat danay unaab pani mein bigho den. Subah nehar mun Sooraj tulu honay se
qabal unaab nichor kar pani pi len aur phuk pheink den. Yeh ilaaj chalees roz
taq karen. Chehray par danay niklana band ho jayen ge. Sardi agar ho to pani ko
halka name garam kar len. Surkh mirch, garam masalha, anday aur gosht se
chalees roz taq parhaiz rakhen. Sirf dalain aur tarkariyan khayen.