Topics
Sawal : mein apne shohar ki biwion
mein sab se choti hon. Doosri biwiyan wajibi shakal o soorat rakhti hain aur
ikhlaq, rakh rakhao mein mera muqaabla nahi kar sakteen. Hoshyari, makkari aur
jhoot mein mahaarat rakhti hain. Meri sokanein Ameer ghranon se talluq rakhti
hain jabkay mein aik ghareeb gharane ki larki hon. Shohar ne meri khoobiyon ko
nazar andaaz kar ke ghar se nikaal diya hai. Ab nah mere shohar mere paas hain
aur nah mere paas ghar hai. Sach yeh hai ke dukh ke siwa mere paas kuch bhi
nahi hai. Mujhe barri sharmindagi aur dukh se yeh batana par raha hai ke mere
shohar bohat husn parast aur aish pasand hain, doulat itni hai ke barray barray
shehron aur ghair mumalik ka dora karte rehtay hain aur is doray mein kisi nah
kisi ko sath rakhtay hain phir bhi un ko taskeen nahi hoti. Itnay aish parast
honay ke bawajood mujhe “mahroom”rakhtay hain. Meri har zaroorat se ghaafil
rehtay hain. Aur mere bachay ka khayaal bhi nahi karte. Koi wazifa aisa bitayen
ke shohar apni buri aadato ko tark kar den aur mujh se aur bachay se mohabbat
karne lagen.
Jawab : yeh baat aap ne khud
likhi hai ke aap ke shohar doulat mand hain aur un ki kayi biwiyan hain. Haqeeqat
yeh hai ke kayi biwiyan hotay hue bhi aap ki shadi un se doulat ke lalach mein
hui. Aap kisi ghareeb shakhs se bhi shadi kar sakti theen. Aisay doulat mand
ghranon mein jahan mazhab se doori aur azaadi ho un baton ko koi ahmiyat nahi
di jati jin par aap kurh rahi hain. Aap ki saari takaleef ka sabab yahi hai ke
aap khud ko is mahol mein adjust nahi kar saken. Allah taala ka qanoon hai ke
deen mein jabar nahi yani koi rasta ikhtiyar karne mein qudrat ki taraf se koi
pabandi nahi hai. Aap ne apne rastay ka khud intikhab kya hai. Behar haal Allah
taala se dua kijiyej, woh Qadir mutlaq hai.