Topics
Sawal : Mera choutha bacha jis ki
Umar 14 saal hai. Peda honay ke chay din taq bilkul theek raha. Jab meri
dewrani aayi to is ke baad mera beta bemaar ho gaya. Sookh kar kaanta ho gaya. Aik
saal taq mein ne is ke ilaaj mein koi kasar nah choari. Barri takleef utha kar
bara hua is ke baad beti peda hui jis ki Umar 12 saal hai. Woh bhi mouti tazi
hui thi magar aahista aahista sookh kar kaanta ho gayi. 14 saal ho gaye hain,
mein sahet ke liye taras gayi hon. Bohat ilaaj kya, lady dr, dr, hakeem,
homyopithk sab ka ilaaj karaya. Aisa lagta hai jaisay dawaiyon mein assar hi
nahi. Paanchon waqt ki namaz ada karti hon. Yaseen parh kar dam kar dam karti
hon ke ya Allah to Shifa day. Tujhe kisi cheez ki kami nahi, Shifa to tairay
haath mein hai. Yahan yeh batati chaloon ke jo dewrani mere yahan aayi thi is
ke haan jitne bachay hotay hain, theek hotay hain. Phir inhen bhi sokhey ki
bemari lag jati hai. Mere chalay mein is ke anay se mere sath bhi yahi sun-hwa.
Dr kehte hain ke anton aur maida par waram hai, zabaan par safaid teh si jami
rehti hai. Mun se badboo aati hai, qabz rehta hai.
Jawab : khuwa makhuwa tohmat mein
mubtala nah hon. Seedhi si baat hai ke aap ke khoon mein koi nuqs hai. Is nuqs
ki wajah se bachon ne chunkay naaqis doodh piya hai is liye un ke maida aur
anton mein bemari peda ho gayi hai. Nateeja mein dast anay lagey. Zahir hai jab
ghiza hazem nahi ho gi to dast atay rahen ge. Bacha sookh jaye ga. Aisa lagta
hai ke aap ke yahan ghizayein saaf suthree nahi khayi jatein aur khanay peenay
mein poora ghar be etdaali ka shikaar hai. Aap aur aap ki dewrani aap ke bachay
sab is be etdaali ki wajah se bemaar hain. Ilaaj yeh hai ke ghiza ke baray mein
muqami tor par kisi hakeem ya dr se mahswara kar ke ghiza mein aitdaal qaim
karen. Sahet khud bakhud theek ho jaye gi. Kisi ilaaj ki zaroorat nahi hai.