Topics

Luknat

Sawal : shuru hi se mere bolnay mein ravani nahi. Baat karti hon to alfaaz theek tareeqay se ada nahi hotay kehna kuch chahti hon aur keh kuch aur deti hon. Kisi se dhang se baat nahi kar sakti. Kisi Sawal ka Jawab dete waqt zabaan sath nahi deti aur ghabrahat hoti hai. Mein chahti hon ke meri guftagu mein tasalsul peda ho jaye aur mein har mauzo par ravani se bol sakun baaz auqaat be ikhtiyar mazhaka khaiz baat keh deti hon jis par baad mein be hadd sharmindagi hoti hai. Is ke ilawa mujh mein qowat iraadi ka fuqdan hai. Koi kaam shuru karoon to mein usay poora nahi karti. Dil jald ukta jata hai kisi kaam mein dil nahi lagta. Mein chahti hon ke aqalmand ho jaoon baat soch samajh kar karoon aur mujh mein feham o firasat peda ho jaye. Jawab : raat ko sonay se pehlay bistar par pusht ke bil late kar yeh tasawwur karen ke dil se aik shua nikal kar dimagh mein jazb ho rahi hai. Goya dil dimagh ko fade kar raha hai das minute taq tasawwur karne ke baad so jayen. Aik mah ke is amal se Insha Allah aap apni jumla khamion se nijaat haasil kar len ge.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI