Topics
Sawal : saat saal se mein aik marz
mein mubtala hon aur yeh marz kisi ki bhi samajh mein nahi aata. Marz yeh hai
ke so kar jab uthti hon to mujhe jhatkay lagtay hain aur zordar cheekh nikalti
hai. Haath paon akarr jatay hain. Zabaan danoton ke neechay aa kar kat jati
hai. Dimagh mein jo baatein hoti hain woh bhool jati hon. Koi baat karta hai to
samajh mein nahi aati, doray ke baad sardi lagti hai.
Jawab : dawa ke sath sath chaltay
phirtay, uthte baithtay, wuzu baghair wuzu Ya salam ka vird karti rahen. Sooraj
ki tamazat khatam honay ke baad zawaal shuru hota hai to zameen ke andar se aik
gas kharij hoti hai. Yeh gas is qader zahrili hoti hai ke aadmi ke oopar assar
andaaz honay se qisam qisam ki bemariyan peda kar deti hai. Baaz auqaat dimaghi
nizaam is hadd taq darham barham ho jata hai ke doray parney lagtay hain. Jab koi
bandah zehni tor par yaksu ho kar Zahar ki namaz mein mashgool ho jata hai ke
namaz ki noorani lehron is zeher naak gas se mehfooz rakhti hain. Aap Zahar ki
namaz mein taweel sjday kya karen yani subhan rabbi al aala teen
martaba kehnay ke bajaye gayarah martaba kaha karen.