Topics
Sawal : meri aankhon ko aik ajeeb
o ghareeb bemari la-haq ho gayi hai. Pehlay baen aankhh mein do nuqtay se nazar
atay they. Phir barhatay barhatay yeh nuqtay se jaaley ki soorat ikhtiar kar
gay. Dr kehte hain koi bemari nahi hai lekin meri aankhon mein takleef hai aur
ab parhnay mein bhi dushwari paish anay lagi hai. Azrah karam koi ilaaj tajweez
karen.
Jawab : peeli sarson ka tail apne
samnay nklwayin. Woh tail le kar is ke oopar gayarah hazaar martaba gayarah din
mein Al Haq al-noor parh kar dam kareen aur phir is tail se kajal tayyar kar ke
rozana raat ko sotay waqt jist ki silai se aankhon mein lagayen.