Topics

Sardi Ka Paseena


Sawal   : meri Umar athaara saal hai mujhe garmi bohat lagti hai. Sakht se sakht sardi mein bhi meri naak par paseena aata rehta hai aur garmi mein to shakal hi baggar jati hai. Chehray par charkh charh jata hai, rang siyah ho jata hai. Aankhon ke samnay andhera anay lagta hai. Rang din badan kala hota ja raha hai. Jis ki wajah se mein ehsas kamtri ka shikaar ho gayi hon. Khobsorat larkiyon ke samnay uthnay bethnay mein shadeed ehsas kamtri hota hai. Kkhuda ke liye koi aisi tajweez kar den ke meri mushkil aasaan ho jaye. Jab subah so kar uthti hon ya raat ko sotay mein aankhh khil jati hai to aik qisam ka khauf mujh par taari rehta hai aur har waqt yeh sochti rehti hon ke mein boorhi hoti ja rahi hon.


Jawab  : rozana teen Adad cheeni ki paleton par zarda ke rang aur arq ghulaab se
 بسم اللّٰہ الرحمن الرحیم۔ کان البحر مناد الکلمات ربی likh kar aik plate subah, aik shaam aur aik raat ko pani se dho kar bilanagah    chalees roz taq pyin.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI