Topics
Sawal : mein zindagi se bohat
mayoos hota ja raha hon. Mein ne bohat koshish ki apne aap ko sudharnay ki
lekin nakaam raha. Doston ki ghalat sohbat ne ghalat raah par daal diya. Shuru shuru
mein to bohat lutaf aaya lekin ab haal bohat kharab hai. Nazar din badan kamzor
hoti ja rahi hai. Yad dasht kamzor ho gayi hai. Qowat iraadi bilkul khatam
sahet to kher khatam ho gayi hai. Dekhnay walay dekh dekh kar heran hotay hain.
Yeh sab kuch mein ne aap ko mufasil tor per likh diya hai. Ab aap ki marzi hai
ke mere liye kuch tajweez karen ya saza ke tor par aisay hi chore den. Mohtaram!
Agar meri tarbiyat sahih hui hoti to mera yeh hashar hargiz nah hota kyunkay
mujhe aur mere jaisay hazaron log jin mein mere dost bhi hain. Jinhein yeh bhi
nahi maloom ke namaz esha mein kitni rak-at hoti hain. Is ke bar aks kon kon si
nai filme ayen hain aur kon si is mah anay wali hain. Yeh tamam baatein aam
maloomat ki terhan maloom rehti hain. Darasal mein kehna chaah raha hon ke agar
walidain apne bachon ko shuru se tamam baatein bitayen, inhen achay buray ki
tameez skhayin to hum jaisay log yun be raah rawi ikhtiyar nah karen. Hamaray yahan
to yeh hota hai ke jab bacha taqreeban mah daidh mah ka hota hai to maa usay ayaaon
par chore deti hain aur khud function aur partiyan attend karti hain. Ya walidain
mein har waqt larai aur nafrat bachon ke zehan ko maflooj kar deti hai. Bachay
zehan ko masroof rakhnay ke liye ya to doston mein baithtay hain ya filme
dekhte hain. Walidain ko itni bhi fursat nahi hoti ke woh yahi dekh len ke
hamaray bachon ki masrofiyat kya hain. Maa baap ko moorad ilzaam th_hrati hai
aur baap ko maa mein koi khoobi nazar nahi aati. Is terhan bacha bara ho jata
hai.
Agay aap khud samajh len ke kya haal hota ho ga.
Jawab : mein pehlay bhi kayi
martaba likh chuka hon ke walidain ki larai jhagrre aur aapas ki takraar se ghar
jahannum ban jata hai. Bachon ke andar se Khushgawar zindagi guzaarne ka yaqeen
toot jata hai. Bachay sehmay rehtay hain aur kachay zehan, kaj rawi ka shikaar
ho jatay hain magar haal yeh hai ke koi ghar aisa nazar nahi aata jahan shohar
aur biwi mein Iqtidaar ki jung nah ho. Aap aisa karen ke har namaz ke baad 300
baar ya Shafi ya kaafi parh kar apne oopar dam kar liya karen aur esha ke baad
pandrah minute taq sabz roshni ka muraqba karen.