Topics
Sawal : mein bohat sakht pareshan
hon. Pata nahi mujhe konsi bemari ho gayi hai. Ilaaj musalsal jari hai. X-ray,
khoon aur deegar test sahih aeye to doctoron ne mujhe nafsiat ke maahir ke paas
bhaij diya. Mera dil Shahid hai ke mujhe nafsiati bemari nahi hai. Koi kehta
hai ke tum sochti ziyada ho. Koi kehta hai ke kamzoree hai, jaane kitney dr
badal daaley, hazaron rupiya kharch kya gaya aur yeh silsila abhi jari hai. Shohar
bhi ab mujh se tang ho gay hain woh be chaaray kya karen har dosray din
doctoron ke paas jati hon. Koi din acha nahi guzarta, dil bujh kar reh gaya
hai. Seenay ke beech mein dard mehsoos hota hai aur kayi kayi din rehta hai
kabhi sir mein sansnahat honay lagti hai. Dil aik dam dhuk sa ho jata hai aur
dharkan taiz ho jati hai. Yeh sab kuch mujhe waqfa waqfa se hota hai. Kisi ki
bemari ke baray mein sun nahi sakti. Haalat foran kharab ho jati hai. Aap ko
aakhri sahara samajh kar khat likh rahi hon.
Jawab : raat ko sonay se pehlay
aur subah saweray Sooraj niklny se pehlay kisi aisi jagah par late jayen jo
hawadaar ho naak ke dono nathnon se aahista aahista saans andar khinchin aur
sath mein tasawwur karen ke sahet aur Shifa yabi aik niilii shua ki soorat mein
aap ke saans ke sath sath seenay mein daakhil ho rahi hai. Jab seenah saans se
bhar jaye to aahista aahista is tasawwur ke sath saans bahar nikaal den ke aap
ki tamam bemariyan saans ke sath fiza mein tahleel ho rahi hain. Gayarah martaba
yahi amal karen aur rozana aik aik chakkar ka izafah kar ke 23 martaba taq le
jayen aur phir is ko mamool bana len. Ghiza mein namak kam kar ke chothai kar
den aur bazaar ka pissa hua namak istemaal nah karen. Masalha daar, saqeel aur
chikni ghzaon se parhaiz karen. Subah aur shaam aik aik chamcha shehad istemaal
karen.