Topics
Sawal : meri Umar 17 saal hai aur
mein taalib ilm hon. Mere zehan mein terhan terhan ke mazhabi aur is ke sath
sath ghalat qisam ke khyalat atay hain. Jis ki wajah se mera zehan bhaari rehne
laga hai. Mein har waqt udaas rehta hon kisi kaam mein jee nahi lagta. Mehsoos hota
hai ke zabaan gang ho gayi hai. Haath paiir thanday par gaye hain. Baaz auqaat
itnay chakkar atay hain ke mein sir pakar kar baith jata hon. Namaz mein dil
lagana chahta hon magar khayalat ki yalghaar mein izafah ho jata hai.
Jawab : pandrah bees saal ki Umar
mein chunkay aadmi ke andar mikanki tabdeelian hoti rehti
hain. Is wajah se khayalat ayb normal ho jatay hain. Yeh koi tashweesh-naak
baat hargiz nahi hai. Aap ko jab jinsi jazbaat se mutaliq khayalat ayen to un
se ghabriye nahi un ko khusi khusi qubool kijiyej kyunkay yeh fitri taqaza hai.
Albata yeh kaam aap zaroor karen ke jab jazbaat mein shiddat peda ho to
khayalat ki ro mein behnay ki bajaye zehan ka rukh qudrat ki phailai hui
nshanyon ki taraf mourr den maslan yeh ke aap phoolon, darakhton, parindon,
nadiyon, sirsabz pahariyoon, darya aur samandar ki lehron mein dilchaspi lijiye
kyunkay yeh khayalat ghair fitri nahi hain is liye aap ka fitrat se qareeb aa jana
aap ke zehni baar ko khatam kar day ga. Is silsilay mein Rohani ilaaj yeh hai
ke aap raat ko sonay se pehlay shabab aamaiz kahaniyan, Roman parwar novel aur
fehash litreture hargiz nah parheen. Ziyada se ziyada waqt apne aap ko mashgool
rakhen. Jis cheez mein bhi aap ki dilchaspi ho maslan khelna, drawing,
painting, mutalea, sair o tafreeh waghera.