Topics

Ghalti Ka Aitraaf

Sawal   : bi ae ka imthehaan dete hi meri shadi ho gayi. Nateeja se qata nazar mere sasural walon ne yeh mashhoor kar diya ke dulhan bi ae hai lekin mein do prchon mein feel ho gayi. Mere shohar ne doctori paas ki hai aur bahar jany ka iradah rakhtay hain. Woh kehte hain ke hum dono sath ja kar mazeed taleem haasil karen ge. Un sab baton ko dekhte hue mujh mein yeh jurrat nahi hai ke mein apne shohar ko haqeeqat haal se bakhabar kar sakun. Haqeeqat ke izhaar se azdawaji zindagi mutasir honay ka khadsha hai.


Jawab  : haqeeqat haal ko kabhi nahi chhupana chahiye. Aap poori soorat e haal shohar se mann o an bayan kar dijiye aur keh dijiye ke ab taq mein baa-mushkil is boojh ko bardasht karti rahi hon lekin ab yeh baar meri bardasht se bahar ho gaya hai. Aur mein ne aap ko sahih sahih baat bta di hai. Dimagh ko halka karne ka yeh tareeqa bilkul aasaan hai. Is ko uljan bananay ki zaroorat hi nahi thi agar aadmi koi ghalti karta hai to foran ya jis waqt dimagh ziyada baar ko bardasht nah kar sakay ghalti ka aitraaf karlena chahiye warna asaab kisi marz mein mubtala ho jatay hain, bilkul mutmaen rye. Is tarz amal se aap ke shohar aur aap ke darmain kisi qisam ka ikhtilaaf peda nahi ho ga.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI