Topics
Sawal : meri Umar pachees saal hai
aur ghair shadi shuda hon. Teen chaar saal pehlay mera rang bohat surkh aur
safaid tha. Chehray par koi daagh aur dhabba nahi tha lekin ab mera rang kharab
ho gaya hai. Chehray par kaafi daagh aur dhabbay ho gay hain. Naak aur kaanon
par jhaiyan par gayi hain. Vitamin ki golian istemaal karoon to jhaiyan saaf ho
jati hain aur chore dun to phir par jati hain. Chehray par kalay aur bhooray
rang ke tall bhi hain. Jo kabhi kam aur kabhi ziyada ho jatay hain.
Jawab : rozana maithi ka saag
pakka kar dono waqt khaano ke sath khayen. Yeh zurori nahi hai ke sirf maithi
ka saag hi khaya jaye. Parhaiz kisi cheez ka nahi hai sab kuch khayen lekin
dastarkhawan par maithi ke saag ki dish zaroor ho. Raat ko sotay waqt do injeer
doodh mein pakka kar injeer kha kar oopar se doodh pi liya karen. Injeer khanay
ke baad koi cheez nah khayen. Jab taq chehra poori terhan saaf nah ho jaye yeh
amal jari rakhen.