Topics
Jawab : Zahar ki namaz ke baad والشمس والضحی awwal aakhir 11 baar duroood shareef ke
sath 21 martaba parh kar muraqba karen. Aur muraqba mein is taraf dheyaan karen
ke mere oopar roshiniyon ka bana hua aik jism mojood hai. ( larkiyan mard ka
tasawwur karen aur larke aurat rukh ka tasawwur karen ) jab nazar ki mrkzit
qaim ho jaye. Roshni ke is rukh ko apne apne se allag kar ke khud se kuch daur
le jayen. Aur phir qareeb le ayen. Yeh amal teen baar karen. Is amal ki Ilmi
tojihh yeh hai ke fard bashar do rukhon se murakkab hai. Aik rukh ghalib rehta
hai aur dosra rukh maghloob rehta hai. Jins ka taayun ghalib rukh se hota hai
maslan aurat mein maghloob rukh mard hota hai aur mard mein maghloob rukh aurat
hota hai. Maghloob rukh shaoor ki aankhh se nazar nahi aata. Is ko la shaori
aankhh dekh sakti hai. La shaori aankhh se dekhi hui cheez ka shaoor mein
muzahira ho jata hai. Is amal se shadi ke aur gharelo masail hal ho jatay hain.