Topics
Sawal : Rohani digest hamein aur
hamaray ghar walon ko bohat pasand hai aur hum sab aap ke shukar guzaar hain ke
aap logon ko seedhi raah dikha rahay hain. Mein aap ko aik baar phir zahmat day
rahi hon. Masla yeh hai ke meri ammi jaan mustaqil bemaar rehti hain. Aik bemari
chot’tee hai to doosri lag jati hai. Inhen sir mein aksar dard rehta hai. Kabhi
kabhi adhay sir se le kar poooray adhay jism mein nihayat takleef da dard hota
hai. Yeh dard dayen taraf ziyada hota hai. Ammi ke mizaaj mein gussa bhi ziyada
hai. Tabiyat kharab ho to khaas kar bohat pareshan ho jati hain. Aap se
darkhwast hai koi ilaaj bta den jis se meri ammi ko mustaqil sir dard se nijaat
mil jaye.
Jawab : aik soti romal par
بِسْمِ
اللّٰہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِo
رَضَیْنَا
بِاالْقَضَیْنَا فَاتُؤا بُرھَانَ اَلْفَ مَرَّۃٍ
parh kar phoonk marain aur girah laga den. Yeh romal sir mein is
terhan bandhen ke girah kanpatti ke oopar aa jaye. Yeh romal subah saweray
bandh kar raat ko sonay se pehlay chand minute ke liye khol den aur phir bandh
len aur kayi roz taq yeh silsila jari rakhen. Wuzu ya ghusal karte waqt romal
khol lainay mein koi harj nahi hai. Is ilaaj se aap ki ammi ko sir dard se
nijaat mil jaye gi.