Topics
Sawal : walida sahibaa do mah se
ajeeb marz ka shikaar hain. Pehlay kharish hui aur is ke baad aik din bohat
ghabrahat hui. Kehti hain ke aisa mehsoos hua ke jaisay kisi ne jaye namaz agay
se khech li. Mein ne mehsoos kya ke mein halki hoti ja rahi hon. Paiir thanday
rehtay hain. Bohat dafaa kaho to namaz padti hain. Woh bhi aik sath do teen
waqt ki namaz padti hain. Har cheez se khauf aata hai. Do teen doctoron ko
dekhaya. X-ray karaye hain sab normal hain. Aik molana ko dekhaya hai woh kehte
hain ke kisi ne safli amal kara diya hai. Chaar saal pehlay hamaray ghar se aik
dupatta mein bohat saari joyen nikleen jo hum ne jala diya. Baraye meharbani
mujhe bataiye ke yeh kya marz hai aur agar marz nahi hai to kya hai ?
Jawab : safli wafli kuch nahi
hai. Baat itni si hai ke aap ki walida ka dil kamzor ho gaya hai. E si jee kara
lijiye aur qalb ke spishlst ki Hadayat par amal karen. Dr ke mashwaray se teen
waqt shehad khayen. Shehad ke oopar teen baar
parh kar dam kar diya karen.