Topics
Sawal : mera aap se do toak Sawal yeh hai ke kya tareqat aur Shariat allag allag
rastay hain? Zara wazahat se Jawab dijiye taa ke Rohani shagird samajh saken.
Jawab : tareqat aur Shariat koi
allag allag rastay nahi hain. Shariat mein pehlay ilm hai aur amal baad mein
lekin yeh baat apni jagah muslim hai ke is ilm ki bunyaad bhi laa Ilmi par hai.
Tareqat mein amal pehlay hai aur ilm baad mein. Rohani taalib ilm ko kuch
seekhnay ke liye har haal mein pehlay apne ilm ki nifi karni padtee hai.