Topics
Sawal : mein larka to hon lekin
meri aawaz bilkul larkiyon jaisi patli, bareek aur halki hai. Mein ziyada taiz
bol hi nahi sakta. Jitna taiz bolnay ki koshish karta hon aawaz itni hi halaq
mein ataaq jati hai aur agar nikalti bhi hai to larkiyon ki terhan bareek hoti
hai. Sab rishta daar aur dost mujhe filmi glokaraon ke naam se bulatay hain.
Noor Jehan aur naheed Akhtar se meri aawaz milatay hain. Do chaar logon mein
baith kar baatein nahi kar sakta. Is wajah se mein ziyada tar ghar par para
rehta hon. Aur shadeed ehsas kamtri ka shikaar ho gaya hon. Har woh larka jis
ki aawaz mardon jaisi ho mujhe apne aap se buland lagta hai. Aur mein apne aap
ko is se kamtar samjhta hon. Isi liye college mein dakhla nahi liya kyunkay
shool mein hi sab larkoon ki aawaz badal gayi thi lekin mein aik badnaseeb tha
jis ki aawaz wohi rahi. Doctoron ko bhi mein ne apna halaq dekhaya lekin koi
faida nahi sun-hwa. Ab kabhi do aawazian nikalti hain. Aik bareek aur aik zara
mouti. Woh bhi halaq ka poora zor laganay se jis se halaq dikhne lagta hai. Is ke
ilawa mujh se aik barri ghalti yeh hui ke mein deomalai kahaaniyon par
mushtamil digest parh kar mein behak gaya aur mein ne apne aap ko zaya karna
shuru kar diya. Yani mein apni mardana qowat zaya karne laga lekin kuch hi
dinon mein ne is buri aadat se tauba kar li.
Jawab : aik khulay mun ka kora
ghara lijiye. Subah saweray uth kar is waqt jab sab ghar walay so rahay hon
chhat par ya kisi makhsoos kamray mein aur gharrey ke andar mun daal kar dono
haath gharrey ke kinaroon par is terhan rakh len ke chehray ka aadha hissa
hathon ke andar aa jaye aur buland aawaz se surah rehman ki talawat karen. Surah
rehman agar yaad nah ho to hifz kar len. Koi barri surah nahi hai. Aasani se
yaad ho jaye gi. Jab taq aap ki aawaz ki niswaniat khatam nah ho yeh amal jari
rakhen.