Topics
Sawal : mujhe baat be baat gussa
aata hai. Isi gussa ki wajah se meri sahet din badan kamzor hoti ja rahi hai. Aisa
amal bitayen mein gussa karna chore dun.
Doosri baat yeh hai ke mein har gham ko apne seenay se laga layte
hon. Har waqt khud hi apne aap se baatein karne lagti hon. Is aadat ko chorney
ke liye bhi koi amal bitayen. Taa Umar ahsaan rahon gi.
Teesri baat yeh hai ke bachi ki paidaiesh ke baad mein kamzor ho
gayi hon halaank shadi ke waqt meri sahet bohat achi thi magar bachi ki
paidaiesh ke baad badan hadion ka dhancha ban gaya hai. Is ke liye koi hal
bitayen.
Jawab : subah Sooraj niklny se
pehlay beedar ho kar Fajar ki ada namaz ke baad gayarah martaba ya Hafeez ya
Shafi ya kaafi parh kar pani dam kar ke pi liya karen. Khaano mein meethi
cheeze ziyada aur namkeen kam istemaal karen. Jab taq sahet poori terhan bahaal
ho yeh amal jari rakhen.