Topics
Sawal : mera larka ghulam Hussain
jis ki Umar taqreeban 12 saal hai. Raat ko dar jata hai halaank mere sath
kamray mein sota hai mein ne usay samjhaya hai ke darny aur khaufzadah honay ki
koi zaroorat nahi, mein mojood hon. Darna kam himmat aur buzdil logon ka kaam
hai lekin woh kehta hai ke yeh sab theek hai lekin mujhe nazar aata hai ke
kamray ke bahar koi khara hai aur kabhi daikhta hon ke koi sehan mein chal raha
hai phir yakayak yeh saya gayab ho jata hai. Pehlay mein usay vahm samjhta tha
lekin larka barabar yeh shikayat kar raha hai.
Jawab : aisa kyun hota hai aur
saya kya hai? Is par Insha Allah aindah roshni daali jaye gi. Aap bachay ko
ghzaon mein namak kam se kam khilain aur ho sakay to aik hafta mutlaq namak nah
khilain. Phir aahista aahista namak khilain lekin kam. Is ke bar aks meethi
cheeze qadray ziyada khilain. Hafta das din mein saya nazar aana aur dar khauf
ki kefiyat khatam ho jaye gi.