Topics
Sawal : do saal qabal apne college
ki aik larki se junoon ki hadd taq mohabbat kar betha aur apne ghar walon ko is
ke ghar bhaij kar baat paki kar li. Larki bhi shadi ke liye tayyar thi. Aur mein
to bazat khud ishhq ke samandar mein dooba hua tha magar chunkay mein intahi
mazhabi aur mashriqi hon is liye mein nahi chahta ke meri mangetar college mein
ya doosri jagah make up kar ke jaye. Mein ne abhi taq usay mana bhi nahi kya
hai. Doosri taraf meri haalat yeh hai ke jab woh make up karti hai to mein
samjhta hon ke kisi dosray mard ke liye hai, kahin aati jati hai to dil ko
khatka hota hai ke kahin kisi dosray mard ke sath shadi nah ho jaye. Samajh mein
nahi aata ke kya karoon. Mujhe apni mangetar ka gaari chalana bhi pasand nahi
hai. Aik wajah yeh bhi hai ke woh har atay jatay mard ko ghour kar dekhatii
hai. Hum dono dr hain aur bohat jald hamari shadi honi wali hai.
Jawab : aap nafsiati mareez hain.
Jab taq is marz ka ilaaj nah ho jaye shadi nah karen. Warna bohat ziyada
mushkilaat paish ayen gi. Aik tareeqa yeh bhi hai ke apne khayalat aur apni
haalat se mangetar ko bakhabar kar den taa ke agar woh aap se shadi karna bhi
chahay to khud ko aindah paish anay walay halaat ke liye tayyar kar le. Khudaaraa
baghair ilaaj ke apni zindagi aur mangetar ki zindagi ko azaab naak nah banayen.