Topics
Sawal : mera chhota bhai jis ki
Umar das saal hai aaj se taqreeban aik maheena pehlay apni walida ke sath
saddar gaya. Wahan bas stop par bas ke horn se is qader khaufzadah hua ke haath
paon sun aur halaq khushk ho gaya, rang bhi peela par gaya. Is ke baad haal yeh
hua ke is ka halaq khushk rehne laga aur woh har waqt pani peenay laga. Baar baar
pishaab ki haajat honay lagi. Walida ne bhai ko isi waqt hospital pohanchaya
lekin doctoron ne usay normal qarar day diya. Dosray teesray din phir bhai par
wohi dora para. Aur isi tar h haath paon sun ho gay, halaq khushk ho gaya.
Aik ajeeb baat yeh hai ke agar koi gana doray ke waqt gaaya ja raha ho to wohi
gana dobarah suneney par ronay lagta hai. Khaas tor par subah ke waqt yeh dora
shiddat ikhtiyar kar laita hai. Aankhon ke papootay bhaari ho jatay hain aur
dora shuru ho jata hai, har waqt khaufzadah rehta hai, usay aik vahm yeh bhi
hai ke is par assar hai, ghutan ki wajah se har waqt tehelta rehta hai. Kabhi pait
mein dard, kabhi seenay mein dard aur kabhi sir mein dard ki shikayat karta
hai. E si jee theek hai. Pishaab aur khoon ke test bhi normal hain. Is ke
bawajood bhai har waqt dil par haath rakhay dharkan check karta rehta hai. Dil ki
dharkan itni taiz ho jati hai ke aawaz saaf sunai deti hai. Hum se is ki yeh
haalat dekhi nahi jati.
Jawab : bohat saaray more ke par
jama kar ke un paron mein se haddi allag kar li jaye. Naqsh o nigaar se
muzayyan jo par baqi reh jayen. Un se quran pak ki aayat ma kazb كَذَبَ الْفُؤَادُ
مَا رَأَى likhain. Tareeqa yeh ikhtiyar karen ke kisi khushnavees se dohray
khat mein motay qalam se yeh aayat chikane kaghaz par likhwa len. Yeh dohra
khat itna khula hona chahiye ke is mein more ke par aasani ke sath chipak
jayen. Is safaid kaghaz ko siyah makhmal ke kapray par rakh kar frame kara len
aur sahibzaday se kahin ke woh din raat mein baar baar kuch waqfa day kar is
aayat par nazar jmayin. Khaano mein meethi cheezon ka istemaal ziyada karen aur
khaas tor par asar ke baad Sooraj ghuroob honay se pehlay aik chitank garam
jalebi khayen. Jalebi thandhi nahi honi chahiye. Aur jalebi mein sheerah ziyada
hona chahiye. Dua aur dawa ke usool par is ilaaj se 40 roz mein Insha Allah (
abnormality ) khatam ho jaye gi.