Topics
Sawal : dekha gaya hai ke ziyada
tar aurton aur kisi hadd taq mardon par jab jin aata hai to un ki shakhsiyat
mein herat angaiz tabdeeli waqay ho jati hai, aawaz badal jati hai. Herat naak
qowat ka muzahira hota hai baaz auqaat asaib zada ya jin zada aisi zabaan
boltaa hai jo woh khud nahi jaanta, woh shakhs apna taaruf bhi aik jin ki
hesiyat se karata hai waghera waghera.Sawal
yeh hai ke aisa kyun hota hai
is ki Ilmi tojihh kya hai ?
Jawab : poori noo insani mein koi shakhs aisa nahi
hai jis ko kabhi nah kabhi is ki salahiyaton ka tajurbah nah hua ho chahay
baydaari mein ya khawab mein, insani hawaas do terhan kaam karte hain. Barah e
raast aur bil wasita, bil wasita kaam karne ka matlab yeh hai ke hum aankhon se
dekhte, kaanon se suntay, hathon se pakarte aur peeron se chaltay hain. Hawaas ke
is barah e raast kaam karne ka matlab yeh hai ke hum baghair jismani nizaam ki
madad ke khawab mein khud ko chaltay phirtay gharz har woh kaam karte dekhte
hain jo baydaari mein hum se sarzad hota hai.
Halaank hamara jism bilkul moattal hai. Kabhi kabhi baydaari mein bhi hawaas
barah e raast kaam karne lagtay hain aur aasabi nizaam bilkul moattal ho jata
hai. Hatta ke Hafza bhi kaam nahi karta marz ka bose is ki misaal hai.
Sawal marz ka nahi. Hawaas ke barah e
raast kaam karne ka hai”kaboos”ki haalat mein aadmi apne bistar se uthta hai,
kapray badal kar daftar jata hai, wahan kaam karta hai, wapas aa kar kapray badal
kar so jata hai lekin usay yeh qatee yaad nahi rehta mein ne sonay ki haalat
mein kya amal kya hai. Yeh bhi hawaas ke barah e raast istemaal honay ki aik
tarz hai. Yahi kaboos ki kefiyat hyptanizm ke zariye ensaan par musallat kar di
jati hai. To is waqt bhi woh bilkul be iradah ho kar Amel ke hukum ki tameel
karta hai. Baydaari mein yeh kefiyat baaz auqaat az khud musallat ho jati hai
koi dosra shakhs usay hapnatize nahi karta balkay woh khud hi apne aap ko hapnatize
kar laita hai. Yeh is waqt hota hai jab kisi jazba rujhan ya taqaza mein itni
shiddat peda ho jaye ke yeh shiddat asaab ko maflooj kar day jaisay hi asaab
maflooj hotay hain hawaas ka barah e raast istemaal shro ain ho jata hai. Shiddat
ki wajah se hawaas ka rawayya muanidana hota hai. Asaab ke maflooj ho jaane se
jin khalion mein yad dasht ka record rehta hai woh apna amal tark kar dete hain
aur yad dasht ki tarteeb khatam ho jati hai. Ab hawaas is aadat ki binaa par
aik kahani bana letay hain aur apne hi jism par woh kahani amlan istemaal karte
hain, kehte hain ke falan jin hon, mera naam yeh hai, mein churail hon, mein
falan hon waghera waghera. Barah e raast feal ki wajah se hawaas bohat si aisi
baton ka bhi inkishaaf kar dete hain jo pas parda hoti hain.