Topics
Sawal : baat karte hue khud bakhud
mun bhinch laita hon. Bohat koshish karta hon magar is harkat se nijaat nahi
millti. Koi kaam karte waqt ya khaali bethnay par bhi terhan terhan ke mun
banata rehta hon jo dekhnay mein bohat bura maloom hota hai. Har waqt aik
intzaar ki kefiyat mein rehta hon. Jaisay koi achi baat wuqoo Pazeer honay wali
ho. Aik anjaana khauf bhi taari rehta hai ke mulazmat chaatt jaye gi. Mere bachon
ka kya ho ga. Gharz ke har terhan se pareshan rehta hon aap ko Allah taala is
ka ajar day. Aap mujhe kuch aisa bta dijiye ke meri ( khud par taari ki hui )
pareshaaniya daur ho jayen aur mein Allah par bharosa kar ke duniya ka saamna
bahaduri se kar sakun aur yeh ehsas kamtarri, mun banana, mun ka bhinch lena
sab khatam ho jaye.
Jawab : subah saweray kisi
darakht ke tanay se take laga kar kharray ho jayen. Is terhan ke poori reerh ki
haddi darakht ke tanay se miss hoti rahay. Is waqt nangay paiir rahen aur
nazrain seedhay paiir ke angothay par rahen. Das minute taq isi terhan kharray
rahen aur phir apne aur kamon mein mashgool ho jayen. Aik dafaa jis darakht ka
intikhab kar len. Chalees din taq isi ko istemaal karen.