Topics
Sawal: Paanch saal qabal mein apne chacha ke ghar rehne ke liye gayi. Wahan
shabaan ki 14 tareekh ko bahar chandni mein so gayi. Badan to deewar ke saaye
mein tha. Sr f chehray aur sir par chaand ki roshni par rahi thi. Is raat mein
bohat be chain rahi. Neend jaisay aankhon se daur thi dar lag raha tha. Subah uthi
to sir, ankhen aur tangen dard se phatt rahay they aur gilaay mein bhi dard
tha. Dosray din mein apne ghar aa gayi. Wahan do din ke baad phir dard hua aur
mein behosh ho gayi. Hosh anay ke baad sardi se bukhaar ho gaya. Bohat ilaaj
karwaya. Aamlon se duayen bhi karwaen lekin haal wohi raha. Sardi ke mausam
mein dard aur bukhaar rehta hai aur garmi ke mausam mein behosh ho jati hon. Bohat
kamzor ho gayi hon, kisi kaam mein dil nahi lagta.
Jawab: Ilaaj yeh hai
ke matti ki kori plate par teen baar
بِسْمِ اللّٰہِ الرَّحْمٰنِ الرّ حِیْمِ یا صَبُورُ
kar pani se dho
kar pyin. Gayarah din taq ilaaj kar lena kaafi hai.