Topics

Chokor Kaghaz

Sawal   : meri walida arsa paanch saal se sakht bemaar hain har barray dr aur hakeem se ilaaj karaya lekin koi faida nahi sun-hwa. Bohat mehngi mehngi duwaein khayen lekin nateeja sifar raha. Walida ki pasliyon, seedhi taang aur tangon ke joor mein dard rehta hai. Mukhtalif doctoron ne mukhtalif bemariyan batlaein hain kisi ne jigar par waram, kisi ne gurdon mein pathri, kisi ne hadion mein waram kisi ne haddiyan bherne ka khadsha bataya hai, kisi ne kaha ke pishaab mein peep aati hai. X-ray kurwaye bohat paisa kharch hua lekin ab bhi wohi haalat hai. Sotay hue karvat nahi le sakteen. Das minute ka rasta adhay ghantay mein tey karti hain. Bhook nahi lagti, rukhsaar aur hont siyah par gay hain. Amel kehte hain ke kisi ne jaadoo karaya hai.


Jawab  : butter paper ke chhootey chhootey chokor kaaghzon par
بسم اللہ الرحمٰن الرحیم ( surah yaseen ki aakhri aayat se pehli aayat )

اِنَّمآ اَمْرُہ اِنَآ اَرَادَ شَیْأٍء اَنْ یَقُوْلُ لَہٗ کُنْ فَیَکُوْنُo

piyali pani mein bigho den. Kuch der ke baad kaghaz dho kar subah nehar mun aur isi terhan shaam ko raat ko dho kar pila den. Raat ko walida jab gehri neend so jayen un ke sarahnay khari ho kar aik baar surah falaq poori surah parh diya karen. Itni aawaz se ke neend kharab nah ho. Ilaaj ki muddat chalees roz hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI