Topics
Sawal : meri Umar taqreeban
pachaas saal hai. Hosh sanbhalne ke baad se zindagi ka beshtar hissa
pareshaniyon mein guzaraa hai. Allah ka shukar hai ke achi jagah mulazim hon. Maqool
thankhowa hai lekin maali pareshaaniya peecha nahi chhorhtin. Sahet bhi girty ja
rahi hai jab bhi behtar soorat e haal peda honay ke imkanaat hotay hain kuch
aisay masail peda ho jatay hain ke pareshaniyon se nijaat ki rahein masdood ho
jati hain. Koi kaam baghair uljan ke injaam Pazeer nahi hota. Is waqt jis
makaan mein rahaish Pazeer hon usay farokht karna chahta hon, gahak atay hain
wada karte hain lekin dobarah soorat nahi dikhata. Lehaza guzarish hai ke koi
aisa wazifa tajweez farmaen ke makaan hasb khwahish jald farokht ho jaye. Doum koi
aisa wazifa mustaqil vird ke tor par tajweez farma den jis ke zareya Allah
sahet o tandrusti ataa farmaiye aur kashakash rizaq aur kher o barket ataa
farmaiye.
Jawab : Allah taala fir mataa hai
ae all dawod, shukar ko apna mamool bana lau kyunkay shukar karne walay bande
bohat qaleel hain. Yeh bhi farmata hai ke Allah taala israaf karne walon ko
napasand karta hai. Baat talkh hai lekin is ka izhaar zurori ho gaya hai. Aap ke
andar yeh dono baatein mojood hain. Aap shukar nahi karte, shukar yeh hai ke
Allah taala ki Nemat ka sahih istemaal kya jaye. Aap se danista ya ghair
danista haq talfi hui hai. Nemat ka sahih istemaal nah honay se aap israaf ke
murtakib hotay hain. Wazifa parhnay ki zaroorat nahi hai. Apni tarz fikar ka
muhasba kijiyej. Halaat khud bakhud theek ho jayen ge.