Topics
Sawal : hum dono miyan biwi aapas mein rishta daar
hain. Hamara pehla bacha hai, normal nahi hai woh apni Umar se bohat peechay
hai. Nah hi baatein karta hai nah hi chalta hai sirf saharay se chal laita hai.
Thori bohat baat bhi samajh laita hai. Dr ka kehna hai ke yeh normal kabhi nahi
ho ga. Aap aapas mein cosuon hain ho sakta hai ke dosray bachay mein bhi aisi
koi prablm ho. Bacha ko har waqt goad mein uthany se mere poooray poooray
wujood mein dard rehne laga hai.
Jawab : yeh zurori nahi hai ke aapas
ki rishta daari mein bacha ab normal peda ho. Aap Allah ke oopar bharosa rakhen
Insha Allah aindah bachay normal hunge. Waisay ahtiyatan dono miyan biwi apna
khoon test kara len aur mujhe report bhaij den. Esha ki namaz ke baad 300 baar
ya awwal ya aakhir ya zahir ya batin parh kar pani par dam kar ke dono miyan
biwi pyin. Har jumaraat ko siwa paanch rupay khairaat kar den.