Topics
Sawal : Allah taala aap ke ilm
mein barket ataa farmaiye, ameeen. Aik masla paish khidmat hai. Yun to bohat
mamooli magar mere liye masla sangeen hai. Mujhe chipkali se bohat dar lagta
hai. Jab kabhi chipkali par nazar padtee hai to saans rukta hua mehsoos hota
hai. Jis jagah chipkali ho idhar se guzarna mere liye namumkin ho jata hai. Garmi
ke dinon mein aksar ghar mein nazar anay lagti hai. Agar kisi waqt raat ko
kamray mein aa jaye to poori raat aankhon mein kat jati hai. Agar bawarchi
khanaay ya ghusal khanaay mein aa jaye to ghanton idhar ka rukh nahi kar sakti.
Zehan par khauf musallat rehta hai ke kahin chipkali nazar nah aa jaye.
Jawab : matti ki kori katori (
jis mein firni khayi jati hai ) le kar is mein pani bhar kar do chamchay arq
ghulaab daal den aur teen martaba یَاحَیِّیُ
قَبْلَ کُلِّ شَئیٍ یَا حَییُّ بَعْدَ کُلِّ شَئیٍ parh kar dam
karen aur nehar mun pi liya karen. Adhay ghanta taq koi cheez nah khayen aur
nah pyin. Das hafton taq namak nah honay ke barabar istemaal karen.