Topics

Dawaon Ka Reaction

Sawal   : aik saal se meri behan bemaar hai. Shuru mein usay bukhaar aana shuru sun-hwa. Phir is ke gaal surkh ho gay. Ghar walon ne samgha ke bukhaar ki wajah se gaal surkh ho gay phir usay ultian aana shuru ho gayeen. Tangon ki ragein khech gayeen aur woh chalne phirnay ke qabil nahi rahi. Dr ne bataya ke kisi dawa ka ree action ho gaya hai. Hospital mein do mahinay daakhil rahi aur theek ho gayi. Lekin thoray dinon ke baad phir bemaar ho gayi. Sirf gaal surkh hotay they lekin is ke baad poooray jism par danay nikal aeye jo ab kalay daagh ki shakal mein baqi reh gay hain. Tashkhees hui to pata chala ke jald ki koi bemari lag gayi hai. Baazu par se khaal kaat ke jald ke surgeon ko test karanay ke liye bhaije gayi. Lekin report bilkul theek thi. Ab phir is ki tabiyat kharab ho gayi hai. Kamar mein se gosht kaat kar test karaya to report aayi ke is bemari ko koi ilaaj nahi hai. Hum sab ghar walay pareshan hain. Kkhuda ke liye koi dua aisi bataiye ke hamari mushkilaat hal ho jayen. Doctoron ne Jawab  day diya hai. Lekin phir bhi hum kkhuda ki zaat se na umeed nahi hain. Yeh baat hamaray ilm mein hai ke aap ke mashwaron se barray barray paicheeda amraaz theek ho gay hain. Behan ko khanay se shadeed nafrat ho gayi hai. Doodh ka cupp samnay aata hai to qay ho jati hai. Gosht pkta hai to kehti hai ke badboo aa rahi hai. Lillah aisi tadbeer kijiyej ke khana khanay lagey taa ke kamzor y nah barhay.


Jawab  : saat rang ke reshmi kapray ke chhootey chhootey tukre bachi ke samnay phela kar rakh den. Bachi se kahin ke un tukron mein se jo tukda usay khobsorat aur acha lagey utha le. Reshmi kapray ke is rangeen tukre par charon kono par chaar setaaray banayen aur darmain mein

بسم اللّٰ الرحمٰن الرحیم

یَا رَحِیْمُ یَا اللّٰہُ یَا مُرِیْدُ یَا رَحِیْمُ یَا اللّٰہُ

یَا مُرِیْدُ یَا رَحِیْمُ یَا اللّٰہُ یَا مُرِیْدُ

یَابَدِیْعَ الْعَجَاءِب بِالْخَیْرِ یَابَدِیْعُ

یَا مَھْلَاءِیل یَا ثَمْنَاءِیل یَامِیْکَاءِیل یَاجِبْرَاءِیْل

kasheeda kaari se likh kar is kapray ko frame kara len. Aur frame ko maiz par aisi jagah rakh den jahan bachi ki baar baar nazar padtee rahay. Jis taar se kasheeda kaari karen woh chandi ke rang ka hona chahiye. Khaano mein fridge mein rakhi hui cheeze, taiz namak mirch ki cheezon aur baadi, baasi cheezon se parhaiz zurori hai. Ilaaj shuru karne se pehlay paanch rupay pachees pesey kisi ghareeb ko khairaat kar den.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI