Topics
Sawal : arsa daraaz se khauf aur
ajeeb qisam ki wehshat ka shikaar hon. Walidain ki wafaat ke baad tanhai ka
ehsas bohat ziyada hota hai, tabiyat mein har waqt be cheeni rehti hai, mizaaj
mein thehrao aur sukoon bilkul nahi hai. Bohat jald khufzada ho jati hon, har
waqt nabz par haath rehta hai. Nafsiati tor par dharkan ko bohat mehsoos karti
hon. Yun lagta hai ab meri jab meri, zindagi ke baray mein be yakeeni ka
shikaar hon. Arsa hua ghar se niklana chore diya hai. Kkhuda maloom kab yeh
khauf hawaas bakhta kar day. Ab yeh takleef meri bardasht se bahar hoti ja rahi
hai yun lagta hai ke agar ghar se niklee ya seedhiyan charhi to mar jaoon gi. Kkhuda
ke wastay mujhe jald az jald muraqba ke zariye ilaaj bitayen.
Jawab : har waqt wuzu be wuzu “ya
Hafeez “ka vird karti raha karen. Raat ko andheray mein baith kar bees martaba
surah Fatiha parh kar ankhen band kar ke baith jayen. Band aankhon se tasawwur
karen ke aasman par setaaray jhilmil kar rahay hain aur poora aasman saaf hai. Jab
aasman par roshni aur Munawar sitaron ka tasawwur qaim ho jaye to muraqba
khatam kar den aur baat kiye baghair so jayen. Khaano mein chiknai aur namak se
parhaiz karen. Parhaiz se morad bilkul chhorna nahi hai. Maqsad yeh hai ke kam
se kam istemaal karen. Ilaaj ki muddat chalees roz hai.