Topics
Sawal : mujhe hasad karne ki aadat
hai. Bohat koshish ke bawajood aadat nahi choot’tee. Aap koi amal bataiye jis
se yeh aadat chhuut jaye. Dosra masla yeh hai ke jab koi museebat ya imthehaan
sir par atay hain to mujhe namaz parhnay ka khayaal aata hai aur mein namaz
parhna shuru kar deta hon aur jab museebat tal jati hai to mera dil namaz se
hatt jata hai.
Jawab : Fajar ki adaye namaz ke
baad ya raat ko sonay se pehlay teen so martaba نَصْرُٗ
مِّنِ اللّٰہِ وَ فَتْحُٗ قَرِیْبُ parh kar apne oopar phoonk maar liya karen. Quran pak ki is aayat
ki barket se hasad jaisi Rohani bemari se aap ko nijaat mil jaye gi.