Topics
Sawal : teen saal se is marz mein
mubtala hon ke jab raat ko sota hon to thori der baad mere paon se le kar sir
taq kabhi sir se seenah taq koi nadeedah cheez mujhe dbati hai. Is waqt mujh
mein bistar par hilnay ki ya aawaz nikaalte ki taaqat bhi nahi rehti aur yeh
soorat aik do minute se do teen minute taq rehti hai. Kabhi kabhi aik raat mein
teen chaar martaba bhi aisa hota hai. Dabanay ke waqt to koi cheez ya soorat
nazar nahi aati Albata aik aawaz suneney mein aati hai. Agarchay is waqt behosh
hota hon phir bhi kuch hosh rehta hai jis se pata chalta hai ke ab mujh par yeh
ho raha hai is waqt mein dil mein aayea al kursi parhta rehta hon. Aur jab yeh
chore deta hai to sara jism uchhal jata hai jaisay sakht museebat se azaadi
mili ho. Aur jab kabhi achanak neend se beedar ho jata hon to kamrah mein har
cheez insani soorat mein nazar aati hai.
Jawab : jitne khaliye dimagh mein
routine ki zindagi guzaarne ke liye khulay hue hotay hain un se ziyada khaliye
khil gay hain. Is ka ilaaj namak ke istemaal mein kami aur rozana shehad ka
istemaal hai. Din mein teen martaba shehad khaiye aur chand roz ke liye namak
chore dijiye.