Topics
Sawal : mein arsa daidh saal se
shadeed bemaar hon aur bistar par pari hon. Har qisam ka ilaaj nakaam ho gaya
hai. Rohani mahswara day kar meri madad farmaen arsa 5-4 saal se mein ne namaz
baraye taskheer din ke taqreeban 11 bujey haftay bhar ke liye parhi thi. 4-3
roz baad mujhe aisa mehsoos hua jaisay kisi ghaibi taaqat ne mere saaray jism
ko oopar se neechay gole dairay mein jhulay ki terhan ghuma diya. Mein bohat
ghabrayi lekin namaz poori kar li. Isi raat neend mein mujhe ghabrahat hui aur
mein chhootey bachay ki terhan choank kar uth baithi. Glucose aur sharbat mein
barf daal kar piya jis se ghabrahat mein kami mehsoos hui. Namaz taskheer
mazeed chand din parh kar saat din poooray kiye ghabrahat ki yeh kefiyat mujhe
aksar hoti aur mein thanday mashroob mein barf daal kar pi layte thi. Ab meri
tabiyat be chain rehne lagi aur high blood pressure ka aarzah ho gaya. Yeh kefiyat
kayi saloon taq rahi lekin ramadaan shareef ke rozay ke douran aur siwa laakh
kalma shareef ya duroood shareef ya bsm Allah parhnay ke douran yeh kefiyat
nahi hui. High blood pressure ki wajah se khana piinaa kam kar liya jis ki
wajah se kamzoree ki shikayat rehne lagi. 1983 hamza mein dopehar ka khana
pakanay ke douran meri aankhon ke agay siyah parda sa chhaa gaya aur baen
aankhh ki benaye mukammal aur dayen aankhh ki taqreeban aadhi benaye khatam ho
gayi. Aankhon ko dhoney aur dawa daalnay se benaye khud bakhud bahaal ho gayi
is ke aik hafta baad raat ko bukhaar charha aur phir shadeed bemaar par gayi. Shadeed
ghabrahat, khauf, pareshani aur dehshat ki kafiyeton ne ghair liya. Raton ki
neendain bilkul khatam ho gayi phir aankhon mein “motiyan utar aaya doctoron ki
dawaon se koi faida nahi ho raha. Dr heran hain ke aaraam kyun nahi aa raha. Mein
aap se iltamas karti hon ke apne ilm ki roshni mein koi Rohani ilaaj tajweez
karen.
Jawab : aap jo vzayf o Adrad
padti hain inhen foran band kar den. Sirf paanch waqton ki namaz ada karna na
kafi hai yahi aap ki takaleef ka bunyadi parhaiz hai. Aik mah taq namak bilkul
nah khayen is ke baad qaleel miqdaar mein khana shuru karen. Subah shaam aik
chamchi shehad ka istemaal bhi mufeed rahay ga. Rozana 3 tola tarbooz ke beej
nehar mun khayen. Har roz taaza tarbooz ke beej liye jayen. Is ghizai parhaiz
aur istemaal ke sath sath rozana raat ko sonay se pehlay late kar muraqba karen
ke aap ke sir par neelay rang ki roshniyan barish ki terhan baras rahi hain. Yeh
muraqba karte karte neend ki agosh mein chali jayen. Insha Allah aik mah ke
andar aap ki sahet bahaal ho jaye gi.