Topics
Sawal : mein guzashta chaar saal
se bemaar hon. Bachay ki paidaiesh ke baad reerh ki haddi ke oopri hissa mein
dard shuru hua aur phir jhatkay se lagnay lagey. Kaafi ilaaj ke baad yeh
jhatkay to khatam ho gay lekin reerh ki haddi mein dard dobarah shuru ho gaya. Yeh
dard barh kar shaanon aur unglio ke joron mein bhi honay laga hai. Gardan ke
pathon mein tanao aur jabron mein aksar khichao rehta hai. Har waqt halki neend
musallat rehti hai jaisay koi nasha aawar cheez kha li ho. Ziyada der baithy
rehne se gardan katti hui mehsoos hoti hai. Ilaaj mualjay par aik kaseer raqam
sirf kar chuki hon aur ab halaat mazeed ilaaj ki ijazat nahi dete.
Jawab : sirf aik kaam kijiyej woh
yeh ke aindah thanda pani piinaa bilkul band kar dijiye. Jab bhi pani pyin name
garam pyin. Kalie Shifa ke liye sirf yahi ilaaj kaafi hai. Ziyada se ziyada aik
haftay mein afaqa shuru ho jaye ga aur Insha Allah 2 mah mein takaleef se nijaat
mil jaye gi phir bhi yeh ilaaj ( parhaiz ) aik saal taq jari rkhye.