Topics

Nemat Ya Zahmat

Sawal   : pichlle chand mah se mere sath gaahay gaahay jo sorat e haal paish aa rahi hai is ne mujhe heran o shashdar kar diya hai. Aksar yeh hota hai ke mein tanhai mein leyta hon aur kisi mauzo par soch raha hon. Yakayak koi ghair mutawaqqa aur ghair mamooli khayaal zehan mein warid hota hai phir kuch din baad woh khayaal herat angaiz tor par haqeeqat ka roop dhaar laita hai. Do misalein haazir khidmat hain. Aik din yakayak khayaal aaya ke mujhe apne samnay walon se baat cheet band kar dainee chahiye. Mein heran reh gaya ke yeh ajeeb o ghareeb khayaal mere zehan mein kahan se aa gaya. Chand roz baad samnay walon ne kisi baat par kaha ke tum aindah hum se baat nah karna aur is terhan hamari baat cheet band ho gayi. Pichlle dinon mein ne aik factory mein mulazmat ke liye interview diya. Mujhe interview mein kamyaab qarar dete hue dosray din kaam par anay ke liye kaha gaya. Jab mein ghar aaya to letey hue achanak khayaal aaya ke kahin factory mein aag nah lag jaye aur mein is aag mein nah phas jaoon. Yeh soch kar nah jaane kyun khauf ki aik halki si lehar mere andar daud gayi. Phir bhi himmat kar ke aglay roz factory chala gaya. Kaam karte hue thori der guzri thi ke achanak aag aag ka shore utha aur mein jis hissa mein kaam kar raha tha woh hissa aag ki lapait mein aa gaya. Aag bohat taiz thi. Mein himmat se kaam letay hue aag ke halqay se bach niklny mein kamyaab ho gaya. Meri kashfi qowat mere liye zehni inteshaar ka sabab ban gayi hai. Aik taraf yeh aik aisi salahiyat hai jo lakhoon mein kisi ke paas hoti hai aur doosri taraf is se peda honay wali zehni kashmakash mujhe sakht heran o pareshan rakhti hai. Aap se rahnumaiye ki darkhwast hai.


Jawab  : kitni ajeeb baat hai ke woh salahiyat aur qowat jis ke liye log barson riyazat aur mashqen karte hain. Aap ke andar qowat ki taraf se kisi mehnat o mushaqqat ke baghair beedar ho gayi hai lekin wajah pareshani bani hui hai. Rohaniyat mein yeh baat ibtidayi qanoon ki hesiyat rakhti hai ke agar shagird ki fikri aur zehni tarbiyat ke baghair is ke andar salahiyat beedar kar di jaye to yeh salahiyat is ke liye sakht zehni khlfshar ka sabab ban sakti hai. Baalfaz deegar aisi haalat mein Nemat zahmat ka roop dhaar sakti hai yahi wajah hai ke kisi bhi marwai ilm ko seekhnay ke liye kisi maahir ustaad ki nigrani zurori hoti hai aisa ustaad jo insani zehan ki juzziyat ka zurori ilm rakhta ho.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI