Topics

Operation

Sawal   : aik saal qabal raat ko bistar par laitee hui thi ke meri pusht ki taraf se aik kutta aaya aur mere oopar hamla karne ke liye uchhla sath hi mere shohar letey hue they woh taizi se utthay aur kuttay ko zor se haath mara kutta gira aur aik dam gayab ho gaya taqreeban 9 mah pehlay shaam ke waqt lehaaf oorhay so rahi thi ke achanak aik chipkali meri gardan ke qareeb aayi aur kaatna hi chahti thi ke mere bhai ki nazar is par par gayi. Jaisay hi woh usay maarny ke liye barha chipkali gayab ho gayi is ke baad se mujhe dil ki bemari la-haq ho gayi hai. Doctoron ki tashkhees hai ke dil mein khoon le jaane wali koi rug skrh gayi hai, haath paon be jaan mehsoos hotay hain poora jism aik khaali lifafay ki manind maloom hota hai zara sa daur chalti hon to saans ruk jata hai rozana din mein kayi martaba chand second yeh hota hai ke jaisay seenah se koi cheez uchhal kar halaq mein aa rahi hai. Dr is ka ilaaj operation tajweez karte hain lekin itnay barray operation ke akhrajaat mere bas se bahar hain. Aik shikayat yeh bhi hai ke kabhi kabhi pasliyon ke neechay dard hota hai is ke mutaliq doctoron ki raye hai ke pait ke andar aant phool gayi hai.


Jawab  : aik marz hai jis ko “umm subiyan ' kehte hain. Is marz mein dimagh ke andar mojood khalion mein se chand khaliye band ho jatay hain is ki wajah se woh laharen jo aadmi ko zindagi bakhshti hain mutasir hoti hain aur lehron ka toot kar bikharne ka amal naaqis ho jata hai. Nateeja mein “umm subiyan ' jaissa marz wujood mein aata hai is marz ki bohat si kasmain hain un mein se aik qisam yeh bhi hai jis ki shikayat aap ko hai. Kitaab Rohani ilaaj mein se “umm subyan”ka naqsh do Adad cheeni ki paleton par zarda ke rang aur arq ghulaab se likh kar subah shaam pani se dho kar chalees din taq pyin sath sath khameera gayo zabaan jadwaar Aud saleeb, nashta ke aik ghanta ke baad aur raat ko sotay waqt kha len. Is marz mein shehad khana bhi bohat mufeed hai.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI