Topics
Sawal : mein sab jagah se mayoos
ho gayi hon. Aap is khat ka Jawab jaldi
aur tafseel se dijiye ga. Mein bachpan se hi dukh uthaati aa rahi hon. Ab 22
saal ki ho chuki hon. Gayarah saal ki Umar mein maa ne meri shadi kar di thi is
waqt shohar ki Umar 23 saal thi. Shohar ka haal yeh hai ke jab mein maa ban'nay
wali hoti hon to ghar mein chore kar bhaag jata hai, nah pesey day kar jata hai
aur nah koi ration daal kar jata hai. Aik saal chaar mah guzar chuke hain, nah
to mujhe service millti hai aur nah behan bhai acha sulooq karte hain. Duniya akailey
bhi rehne nahi deti. Mein chahti hon ke shohar agar mujhe rakhna nahi chahtay
to haq mohar day day taa ke mein muaash ka koi bandobast kar lon.
Jawab : paanch waqt namaz ki
pabandi karen aur Fajar ki namaz ke baad 41 baar surah Fatiha parheen. Surah Fatiha
mein al-rehman uraheem 100 baar parheen. Yeh amal 90 din taq kar len. Aap khud
apna muhasba bhi karen. Aisa to nahi ke shadi ke baad aap ke khayaal mein baar
baar yeh baat aa rahi ho ke meri shadi Umar ke hisaab se sahih waqt par nahi
hui. Aur is khayaal ne aap ke shohar ki kamzoriyon ko ziyada kar diya ho. Ya yeh
bhi ho sakta hai ke aap yeh sochti hon ke bachpan ki shadi theek nahi hoti. Bashaour
ho kar shadi ki jaye to ziyada achi zindagi guzarti hai aur aap shohar se haq
mohar le kar doosri shadi karna chahti hon, bilashuba kam Umri ki shadi achi
nahi hoti lekin jab bachay ho jayen to walidain ko aulaad ke liye eesaar karna
chahiye basorat deegar bachay zehni tor par pas mandah reh jatay hain.