Topics

Jahez Ka Masla

Sawal   : jis waqt mere waalid par faalij ka hamla hua is waqt logon ne meri walida ko yeh keh kar pareshan kar diya ke chay baityon ki shadian kis terhan hongi. Is ke baad humaara karobar band ho gaya aur halaat bigarna shuru ho gay, zahir hai ke hum logon ki tawaquaat ke mutabiq jahez nahi day satke they, is liye rishta daaron ne hamein qubool karne se inkaar kar diya. En halaat ne meri ammi ko aur pareshan kar diya. Hamaray liye do chaar rishte bhi aeye. Lau g barray khuloos se kayi kayi dafaa aeye aur hamein bhi madoo kya magar har martaba pehlay hi koi nah koi rukawat haail ho gayi. Kkhuda behtar jaanta hai ke kya ho jata hai ab jon jon hum logon ki umrein guzarti ja rahi hain walida ki pareshani barhti ja rahi hai. Woh isi wajah se bemaar rehne lagi hain. Halaank Allah taala ka shukar hai ke is ne mere walidain ko tofeq di ke unhon ne hamein aala taleem dilwai magar jab log meri ammi ko kisi bhi taqreeb mein taanay dete hain ke is ne apni betiyan ghar bthayi hui hain to ammi sadme se nidhaal ho jati hain.


Jawab  : raat ko sonay se pehlay har behan allag allag 41 baar surah ikhlaas parh kar dua kere.

Topics


Roohani Daak (1)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI