Topics
Sawal : mere shohar pichlle teen
chaar saal se aik ajeeb kefiyat se dochar hain. Is marz ya kefiyat ki sahih
tashkhees nahi ho payi kyunkay mukhtalif andazon se ab taq jo ilaaj hua hai is
ke hosla Afza nataij muratab nahi hue. Maamla yeh hai ke mere shohar ki kohniyon,
hathon ki unglio aur ghutnon mein itna shadeed dard hota hai ke woh chalne
phirnay se mazoor ho jatay hain. Woh kehte hain ke kabhi aisa mehsoos hota hai
ke koi un ke paas leyta hua hai ya bahar se andar aa raha. Kabhi yun lagta hai
ke kisi ne inhen zor se dhaka diya hai kyunkay woh zor se gir jatay hain.
Jawab : guzashta daur mein namak
bohat ziyada istemaal kya gaya jis ki wajah se khoon mein aur gurdon mein
kamzoree waqay ho gayi hai. Aik hafta taq namak bilkul tark karen. Aur aik
haftay ke baad medicated salt istemaal karayen. Insha Allah chand hafton mein
saari shikayaat raphoe ho jayen gi.