Topics
Sawal : meri Umar is waqt 33 saal
hai. Awail Umar se namaz ka paband raha hon, saarhay teen saal se batadreej
namaz se shughaf kam hotay hotay ab nah rehne ke liye barabar hai. Logon ke
darmain hota hon to namaz parh laita hon. Niyat yeh hoti hai ke meri wajah se
log namaz ki taraf se la parwah nah ho jayen. Is liye bhi namaz parhta hon ke
meri munafiqana namaz se shayad koi Allah ka bandah sacha namazi ban jaye aur
is namazi ki namaz hi meri mughfirat ka zareya ban jaye. Zabaan se namaz aur
islam ki Azmat ka har waqt parchaar karta raha hon, andar ki haalat yeh hai ke
rooh zakhmi ho chuki hai, musalsal iztiraab mein aur be cheeni ka shikaar hon. Islaah
haal ki koi tadbeer bataiye. Yeh bhi wazeh kar dun ke mein taqdeer ka shiddat
se qaail hon. Samjhta hon ke mein jo kuch kar raha hon taqdeer mein isi terhan
likha hua hai.
Jawab : ensaan sirf waardaat hai.
Yeh waardaat aankhon, kaanon aur feham ke zariye banti hai. Jab yeh waardaat
ban chukti hai to kharch ho jati hai. Yeh banti rehti hai aur kharch hoti rehti
hai. Is waardaat mein aisay waqfon ko bohat bara dakhal haasil hai. Jab ensaan
fitrat se qareeb hota hai. Agar ensaan fitrat se munqita ho jaye aur qareeb hi
nah ho to dimaghi aur aasabi kamzoree la-haq honay lagti hai. Fitrat se qareeb
honay ka matlab khaali ulzehan hota hai. Khaali ul zehan honay ke liye chobees
ghantay mein koi nah koi waqfa zurori talaash karna chahiye is ka behtareen
tareeqa andheray ya jhatpatey mein tehalna hai. Raat ko zara jald so jayye aur
saweray uthney.