Topics
Sawal : aik be sahara larki, kuch
samajh mein nahi aata ke mein apni daastaa’n gham kahan se likhon. Har taraf
andhera hi andhera nazar aata hai. Apni zindagi se bezaar aa gayi hon. Mout ke
siwa koi nijaat nazar nahi aati. Kkhuda ke liye meri madad kijiyej. Mein ne aaj
taq apni zindagi sabr o shukar se guzari hai. Is ka badla yeh mila hai ke
zindagi mein gamoon ke siwa kuch bhi nahi. Yeh likhte hue mujhe rona aa raha
hai ke mere liye aik boorhay shakhs ka rishta aaya hai. Kkhuda ke liye koi aisa
wazifa bta dijiye ke meri shadi is budhay se nah ho. Mujhe dar hai ke mere
walidain is ka rishta qubool kar len ge kyunkay woh bohat doulat mand aur hum
ghareeb hain. Agar walidain ne meri shadi is se tey kar di to mein zindah nahi
bachon gi. Jab se yeh manhoos khabar suni hai meri raton ki neend urr gayi hai.
Sab ghar walay to mazay se sotay hain aur mein raat raat bhar roti rehti hon. Mein
ne inkaar kar diya hai lekin ghar walay nahi mantay, kehte hain boorha hai to
kya sun-hwa, Ameer to hai.
Jawab : aadhi raat guzarnay ke
baad nangay paiir aur nangay sir khulay aasman ke neechay khari ho kar namaz ki
terhan haath bandh kar aik so aik martaba ya raqeeb parh kar dua karen. Insha
Allah aap ki marzi ke khilaaf shadi nahi ho gi. Himmat aur hosla se bhi kaam
lainay ki zaroorat hai. Aap ko Shariat ne yeh haq diya hai ke shadi ke muamlay
mein aap ghar walon ko apna faisla suna den aur is par qaim rahen.