Topics
Jawab : takhleeq ke qanoon ke mutabiq Afaq se aik
lehar aati hai jo sir ke zariye daakhil ho kar poooray jism mein taqseem hoti
hai aur phir peeron ke rastay zameen mein jazb ya arth ho jati hai. Agar kisi
wajah se yeh lehar poori terhan arth nah ho to aadmi ke andar bohat se jismani
aur zehni awarz janam letay hain aur mukhtalif pareshaaniya la-haq ho jati
hain. Is nizaam ko durust karne ke liye aap hazraat o khawateen subah Sooraj
niklny se pehlay kachi zameen par akrhon paon baith jayen aur ankhen band kar
ke tasawwur karen ke aik lehar aap ke jism se guzar kar zameen mein daakhil ho
rahi hai. Yeh amal 3 minute taq karen. 21 roz ke amal se aap ki pareshaaniya
daur aur masail hal ho jayengay.